Latest

Chicken Biryani Recipe in Roman Urdu

Chicken Biryani Recipe in Roman Urdu


 AJZA aur MIKDAR
  1. Murghi 1.75 kilo(12 piece)
  2. Chawal 1 kilo
  3. 6 tamater chotay chotay kaat lain
  4. Pisa hua adrak lehsan 2 khany kay chamach
  5. 1 chaey ka chamcha biryani ka rung
  6. Namak hasb-e-zaiqa
  7. Oil hasb-e-zaroorat
  8. Shan biryani masala
  9. Dahi
  10. Long
  11. Choti Elaichi
  12. Hari Mirchain hara dhania limon
  13. Biryani Essence(kevra)
Chicken Biryani Recipe in Roman Urdu - lahorerecipes.blogspot.com











TARKEEB

1 pateela  lain or us may oil daal kar garam karain jab oil garam hojaey tou  murghi or pisa hua lehsan adrak daal kar 10 minute bhunay or shan masala daal kar mazeed bhunay phir dahi brown pyaz or tamater grind kar kay pateelay may daal dain or mazeed bhunay jab tak murghi gal na jaey or dusri jaga 1 pateelay may chawal long kaali mirch zeera daal kar 3/4 ubaal lain or usmay murghi ka jo salan banaya tha wo daal dain or baray chamach say mix karlain or biryani ka rung cup may pani kay saath ghol kar biryani may daal dain or uper say thora sa biryani essence  hari mirchain podeena hara dhania limon bareek katay huay daal kar dum par rakh dain 30 minute kay liay .30 minute kay baad apki chicken biryani tayar hojaey gi or ap isy salaad'raita or chutney say serve karain.

Also visit
Chicken Biryani Recipe in English
Tandoori Chicken Recipe in Urdu

No comments